“UPSC Ki Taiyari Mein Books Ka Jungle – Kaise Choose Karein Right Books?”
Jab hum UPSC ki journey start karte hain, toh sabse pehle jo confusion hota hai – “Kaunsi book padhni chahiye?” Google kholte hi 10 tarah ke list milte hain, seniors kuch aur kehte hain, aur YouTube pe alag hi world hota hai.
Agar aap bhi iss jungle mein confuse ho gaye ho, toh ye blog aapke liye hi hai! Yahan main apna personal experience share karungi, kis tarah se maine apni booklist decide ki, aur kuch simple tips bhi dungi jisse aap apni best booklist tayar kar sako.
Prelims Ke Liye Most Recommended Books:
1. Polity – Indian Polity by M. Laxmikanth
• Base banane ke liye best books : NCERT + M. Laxmikanth = clarity!
Personally, main iske liye PW ke YouTube videos dekhti hoon — aap bhi dekh sakte ho agar reading tough lagti hai.
2. History – NCERTs + Spectrum Modern India (by Rajiv Ahir)
• Class 6–12 ki Old/New NCERTs + Spectrum = full combo.
Main NCERT padhne se pehle ek baar videos dekh leti hoon (PW ke). Bahut easy lagta hai samajhna.
3. Geography – NCERTs + GC Leong
• GC Leong concepts strong karta hai, NCERTs base banate hain.
• Visual learner ho toh videos pehle dekh lo, fir book padho.
4. Economy – Nitin Singhania ya Sriram Notes
• Prelims + Mains dono cover ho jata hai.
YouTube pe daily economy analysis bhi dekhna useful hota hai.
5. Environment – Shankar IAS Book
• Static + current dono ka perfect mix.
Iske bhi playlist PW YouTube channel me available hai, helpful hoti hai samajhne me.
6. Current Affairs – Daily newspaper (The Hindu / Indian Express) + Monthly magazine (Vision / Forum / PW)
Apne comfort ke hisaab se choose karo. Ek consistent source raho.
7. CSAT – Previous Year Papers + Basic Aptitude Book
Roj thoda-thoda karo, easy lagega. Don’t ignore!
Mains Ke Liye Books (Common + Optional):
1. GS Paper 1:
History: NCERTs + Spectrum
Geography: NCERT + GC Leong + Atlas
2. GS Paper 2:
Polity: Laxmikanth + ARC Reports
Governance: 2nd ARC (selective)
3. GS Paper 3:
Economy: Nitin Singhania / Budget Survey
Internal Security: Vajiram notes
Environment & Disaster Management: NDMA + Shankar IAS
4. GS Paper 4:
Ethics: Lexicon + Real-life examples + PYQs
5. Essay:
Reading + practice + newspaper = best combo
Main YouTube pe toppers ke essays dekhti hoon for structure ideas.
6. Optional Subject:
Ye totally aapke subject pe depend karta hai. Bas authentic sources se padho.
According to me:
Main personally PW OnlyIAS ke YouTube channel se in books ka video content dekhti hoon. Agar aapko videos dekhna hai toh aap bhi dekh sakte ho — warna book se padhna aapki choice hai.
Video dekhne se mujhe concepts samajhne me clarity milti hai aur fir book padhna easy ho jata hai.
Beginner Aspirants Ke Liye Simple Tips:
1. Ek baar syllabus aur PYQ zarur padho.
Pata chale kis topic se kya aata hai!
2. Booklist fix karo – baar-baar mat badlo.
Ek source bar-bar padho, 10 source mat padho.
3. Books ko dosti jaisa samjho, bojh nahi.
Roj thoda thoda time do, over nahi socho.
4. YouTube as guide lo, substitute nahi.
Videos se samajhna easy hai, lekin likhne aur revise karne ke liye book jaruri hai.
Motivational End Note:
UPSC preparation ek marathon hai, sprint nahi. Har aspirant ka apna tareeka hota hai — koi books se padhta hai, koi videos se, koi dono se. Bas consistent raho, aur apne tareeke pe trust rakho.
Jo aaj mushkil lag raha hai, wahi kal tumhari strength banega.
Apni journey enjoy karo — selection sirf ek result hai, lekin growth tumhara asli reward hai.
#UPSCBooks #PrelimsBooks #MainsStrategy #UPSCPreparation #StudySmart #BeginnerGuideUPSC #PWOnlyIAS #BooklistUPSC #UPSC2025 #UPSCBlogHinglish
Comments
Post a Comment