Dar ke Aage zindagi hai - Ek Beti Ki Kahani ,Ek Nayi Shuruaat
"Kabhi socha tha ek din aisa bhi aayega jab likhne se zindagi badlegi?
Maine bhi nahi socha tha… par aaj likhne baithi hoon.Kabhi kabhi zindagi humein aise mod par laakar khada kar deti hai jahan sirf do raaste hote hain – ya to ruk jao, ya ek nayi shuruat karo. Maine dusra raasta chuna hai. Har kisi ki zindagi mein ek pal aata hai, jab ek naye raaste par chalna padta hai. Wahi pal hota hai jab hum apni "pehli lakeer" kheechte hain – ek nayi shuruaat, ek naye sapne ke saath. Mere liye yeh lakeer tab kheechi gayi jab maine khud se ek sawal poocha: "Main kaun hoon, aur mujhe zindagi mein kya karna hai?"
Yeh blog post usi safar ka pehla kadam hai – jahan main apne sapno, struggles, aur success ke peeche ki asli kahani aapke saath baantna chahti hoon.
"Mere abbu ek alag hi insaan hain. Heart patient hone ke bawajood unhone kabhi humein mehsoos nahi hone diya ki kuch kami hai. Na unke paas koi fixed job hai, na koi regular income – lekin jab bhi humne unse kuch manga, unhone kabhi mana nahi kiya. Wo har takleef se lad kar humein best dene ki koshish karte hain.
Main ghar ki sabse badi beti hoon. Jab abbu ki tabiyat zyada kharab hui, to ek dar ne mujhe pakad liya or dimaag me yahi sawal chalne laga ki, "Agar unhe kuch ho gaya to humara kya hoga?" Ye sawal mujhe khaye ja raha tha fir thoda shant ho kar sochi ki ab Main kya kar sakti hoon ?, Mere pass likhne ki takat hai , jazbaat hai tabhi yaad aaya ki main blogging likhna chahti thi or confusion, dar or judge kiye jane ki wajah se kabhi start hi nahi ki fir andar se ek awaz aayi Abhi nhi to kabhi nahi .Aur ab maine faisla kiya ki blogging start karungi.
Pehle to bas apne liye likhti thi – diary me or khud se baatein karti thi. Lekin ab waqt hai apne lafzon ko duniya tak pahunchane ka. Zindagi Ki Kalam se nayi lakeer kheechne ka.
"Dar ke aage sirf jeet nahi, ek nayi zindagi bhi hoti hai."
Aaj se main likh rahi hoon – apne liye, apne abbu ke liye, apne sapnon ke liye. Har lafz ek naya kadam hoga, aur har post ek nayi lakeer. Yeh sirf blogging nahi hai, yeh meri zindagi ki pehli lakeer hai.
"Zindagi ki pehli lakeer" mere liye sirf ek blog nahi hai, ye meri pehchan banane ki koshish hai. Main chahti hoon ki har vo ladka ya ladki jo confused hai, jo dare hue hain, jinko lagta hai unka sapna chhota hai – wo is blog ko padhein aur samjhein ki tumhara sapna valid hai. Tumhe kisi aur ke standards pe khud ko measure nahi karna hai.
Agar tum bhi kisi dar se lad rahe ho, ya zindagi me kuch naya shuru karna chahte ho – toh rukna mat. Kadam badhao. Shayad tumhari bhi kahani kisi aur ke liye roshni ban jaaye.
Conclusion:
Zindagi mein kai raaste milte hain, par asli raasta wahi hota hai jo aapke dil se nikle. Aaj maine apni pehli lakeer kheechi hai – aur kal main us par chalungi. Shayad rasta mushkil ho, lekin manzil zaroor milegi.
Aap bhi shuru karo – chahe chhoti si lakeer ho, ussi se zindagi badalti hai.
Agar meri kajani se aapko himmat milti hai to comment jarur karna. Aapki zindagi ki pehli lakeer kis mod per bani thi ? Aapko kya lagta hai - agar aap meri jagah hote to kya karte ??
– Zindagi Ki Kalam
#ZindagiKiPehliLakeer
#Motivation
#BloggingJourney
#PersonalGrowth
#LifeLessons
#Inspiration
Comments
Post a Comment